Kya Shikha Blogging Karke?
aaj mere website arifabid.com par 100 post complete ho gaye hai.Aaj mai bahut khus hun kyoki mere blog par 100 post ho chuke hai.blogging karna mera passion hai.mai logo ki help karna chahta hun.aur isiliye maine blogging start ki thi taki ham jyada se jyada logo ki help kar sake aur aaj hm kar rahe hai apne blog ki post ke dvara.Maine Blogging Karke kya sikha yahi is post me btane wala hun.maximum bloggers blogging me safal nahi ho pate hai jab unako earnning nahi hoti hai to blogging chhod dete hai. Aap sochiye bina mehanat kiye apko safalata mil jayegi kya aap soch rahe hai ki aaj blog bnaya aur kal se earnuing start ho jaye to esa bilkul bhi nahi ho sakata.bina mehnat kiye apko safalata nahi milane wali.
safalata rato rat nahi milati safal hone ke liye utani mehnat karni hoti hai.aap apne field me tabhi success ho sakate hai jab apko apne work se pyar rahega.yahi pyar apko apke success tak apko le jayegi.
SAFAL HONE KE LIYE EK DRIDH EKCHCHA HONI CHAHIYE.
apne work ko apna passion bnaiye aur blogging paise ke liye nahi dusaro ki help ke lijiye kijiye tabhi aap success ho payenge.jab apke blog par traffic hogi tabhi earning hogi aur apke blog par traffic bhi tabhi hogi jab aap apne visitors ke liye kuch naya karoge kuch tips bataoge.kyoki sabhi ko kuch naya janane ka man karta hai.isiliye aap apne blog visitors ke liye naye naye topics par posts likhiye.
aap bhi blogging kar rahe hai mai bhi blogging kar raha hun hmane bahut se problem ko solve kiya hai blogging me.aur bahut kuch sikha hai.
Maine Blogging Se Kya Sikha
mai three month se blogging kar raha hun aur maine bahut kuch sikha blogging se kuch bate apke sath bhi share kar raha hun.1-Dusaro Ka Bhala
agar aap dusaro ka bhala nahi karenge,nahi sochenge to apka bhi bhala nahi hoga.aaap apne liye nahi visitors ke liye post likhiye.maine blogging se ye sikha ki post chahe kitna bhi chota kyo na ho usame jo bate hai vo top motivate karne wali honi chahiye.jise padhate hi logo ko apka blog aur pasand aa jaye.hmare post ke content hi hmare liye bahut important hota hai.hame apni writing skill ko better karte rahna chahiye.2-Hmesa Kuch Nya Kare
aap apne blog par always daily post karte honge.but apne kabhi socha hai post bhi only ek hi topic par na kare kuch aur topics par kare.kyoki only ek hi topic ki posts ko padhkar koi bhi bor ho jata hai.aap hmesa kuch nya kare kuch naya topic par post kare.3-Aage Badhane Ki Echchcha,Kuch Naya Sikhane Ki Echchcha
hamesa aage badhne ke bare me soche ye kabhi na soche ki mai to safal ho gaya hun ab muje kya karna hai nahi ye soch apko bahut jald hi niche gira degi.hmesa aage badhate rahne ke bare me sochiye.mn me ye sochiye ki hmesa kuch naya soche taki apka knowledge aur badhe.taki aap apne visitors ke liye kuch better kar sake.4- Kabhi Har Na Mane
apko bhi pata hoga blogging me kitani presaniya aayi hogi apko.muje bhi aayi hai aur maine un problems ko dur kiya kabhi bhi har nahi mana.thoda mayus hua but mai janta hun mayus hone se kuch achchcha bhi nahi hoga isase better hai us problem ko hmesa ke liye khatam kar diya jaye.presaniya to hmesa aati rahegi.bina problem ke ye life kaisa isame maja hi nahi aayega.ek bar jis kam ko than lijiye ki muje ye karna hai to bus karna hai chahe muje isake liye kitani bhi takleef kyo na ho.mai in problem ko sahne ke liye taiyar hun.mai abhi blogging me success nahi hua hun.but mai mehnat kar rahan hun ki mai bhi ek best blogger ban jayun.aur jyada se jyada logo ki help kar saku.
to dosto aaj ke post me itana hi.apko meri ye post achchchi lagi hoto apne friends ke sath jarur share kare.aur apne bare me comment me bataye ki apne kya kya sikha blogging karne se.
बहुत ही अच्छी जानकारी मिली इस पोस्ट से,यह मेरी फेवरेट वेबसाइट है
ReplyDeleteThanks Ravi
ReplyDelete