Blog Par Seo Friendly Article Kaise Likhe

Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe? 

Hii Friends 👭👬👫 kaise ho aap sab i thin you will be ok 👌. Aaj ham iis  post me apko eak best 👍💯 tips 💡ya rule kah lijiye isake bare me batane wale hai.vaise to apko title se pata lag gaya hoga ki iss article me kya bataya jayaga.agar aap eak blogger hai aur blogging me success 🏆💪 hona chahte hai to jahir sii bat hai apko bhi successful blogger ki tarah hi sab kuch follow 💗 karna hoga.tabhi aap bhi apne blogging ki suffar me agea badhenge.

arifabid.com

You know article hi blog ka king hota hai aur agar aap article par hi dhyan nahi denge to apko koi profit nahi hoga.kyoki articles ko hi to read karke people apke blog ko like ❤ karenge.
Aur sochiye agar apka article hi better nahi hoga to kya koi bhi visitor apke blog par rukega nahi vo to turant hi bounce kar jayega.
Isiliye ham apko iss post me batane wale hai ki sei friendly article kaise write ✏ karke blog ko top par laya jaye.isake kuch common se rule hai jise apko follow 💗 karna hai.
To aaiye ham apne article ko agea badhate hai.

Search Engine Optimized Article Kaise Write Kare?

Jab bhi aap apne blog par koi article  write ✏✍️ Karke publish karte ho to google bot  apke article ko apne sei rule se match karata hai aur agar apka article seo ko completely follow 💗karta hai to apka article top par google 🔍 engine me show hone lagata hai. 
To aaiye banate hai ki blog post ko seo kaise kare. 

1#Post Title and Heading!

Apko article write karte time iss bat ka dhyan rakhna chahiye ki aap post ka title kya de rahe hai.apke post title me kam se kam 2 keyword hone chahiye. Post ka title attractive hona chahiye apke article ka title jitna attractive hoga uthana hi apka title sei achcha hoga.aur apka article bhi rank karega.
Kyoki aap jante hai ki title read karke hi koi bhi visitor apke article ko open karega isiliye post ke title par dhyan de.
Aap apne title me popular, tips, important, top, best, etc ka use karke en words ka use karne par post par click hone ke chances increase ho jate hai.

2#Post/Article Description(about)! 

Aapne google par dekha hoga jab bhi aap kli post search karte honge to uss article ke title ke niche uss post ke bare me kuch bataya gaya hota hai.
Maximum log article ko open karne se pahale post descriptions hi dekhte hai. To agar aap chaahate hai ki apke article par jyada click mile to aap article ke description me bhi achche se likhe.
Article description me han sab post ke bare me 150-160 words me post ke bare me batate hai.
Aap bhi post description ke sei par dhyan de.jab aap esa karenge to apko achcha performance dekhne ko milega.

3#Post/Article Images/Picture! 

Aap jab koi story 📖read karte ho to apko bahut anand to milta hai.but apko pata hoga agar story me jab koi picture hota hai to aur bhi anand aata hai story ko read karne me nahi. 
Bina images ke story bore lagati hai read karne me maja nahi aata hai.isiliye log jyada se jyada images wali sory hi read karna pasand karte hai. 
Same isi tarah apke blog post me image ka role hota hai aur agar aaap images ka use nahi karenge to apka article bhi boring lagegi.isiliye aap blog post me image ka use kare.but copyright image ka use na kare aap khud apne blog post ke liye apps ke help se unique image banaiye aur attractive bhi isse apke article ko log jyada pasand karenge aur search engine to karega hi. 
Kyoki apka eak sei image 100 words ke equal mana jata hai. 
To bloggers aap bhi en bato ko dhyan de. 

4#Image Alt Tag( introduction)! 

Agar apko blogging karte hue kuch time ho gya hai to apko ptaa hoga ki jab bhi aap blog post me images upload karte hai. To uas image ke bare me bhi likha jata hai. Jise ham log alt  tag kahate hai. 
Kisi bhi images ko seo  karne ka sabse best 👍💯 tarika hota hai. Isiliye aap kisi bhi images ko alt tag kiye bina na publish kare. 
Ham alt tag me keywords ka bhi use karte hai jab aap karenge esa to apko bhi profit najar ayega. 

#5Internal  Links 🔗! 

Internal link ka matlab hota hai ki aap apne blog post me dusre article ka link jo usse related hota hai useko use karte ho.iss tarah se apke website user apke dusre article ko bhi read kar pate hai. Aur apke blog ka bounce rate bhi achcha hota hai. 

#6Post 🔑 Keywords! 

Jo bhi aap search engine par write karke search karte ho vo hi key words hota hai. Matlab ki maximum log kisi topic ke bare me kya write karke search karte hai vahi keywords hota hai.
Keywords hi apke blog post ko rank kaara sakta hai isiliye aap kisi keywords planer  ka use karke apne blog post ke liye achcha se achcha keyword search karke apne blog post me add ➕ kar sakte hai.
Iss bat ko aap bilkul ignore na kare. Ye eak blogger ke liye bahut hi mayne rakhta hai.

#7Post Headings! 

Aap apne blog post me heading ka use to karte honge agar nahi karte hai to ab se karan start kar dijiye.
Isase ye profit hai ki ham heading me bhi post se related keywords ko add karte hai. Jisse google hmare heading ko bhi index kar leta hai. Aur search engine me show karta hai. Ye eak blogger ke liye bahut hi kushi ko bat hoti hai.
Aur visitor bhi apke blog se prabhaavit hote hai kyoki unko topic wise  jaankari mil jati hai.isiliye aap bhi post me haedings ka use kariye aur heading ko attractive bnaiye.

#8Article Sharing on Social Media!

Post publish karne ke bad sabhi blogger post ko promote karne ke liye whatsApp, facebook, twitter 🐦🐦 etc par share karte hai.
Iss tarah post par better traffic milane lagati hai.agar aap esa nahi karte hai to aap bhi iss points ka use kariye.
Iss tarah se apki domain authority aur page authority bhi increase hoti hai.ise achche se follow 💗 kariye.

#9Post URL! 

Jab bhi article write ✏ karke article ko publish kar dete hai to google apke post ka url automatic create kar deta hai.
Iss case me apke blog ka title jyada long hone ki wajah se apka post url kar jata hai.
Isiliye aap khud custom permlink ka use karke apne blog post ke liye chhota sa url bna sakte hai.aur aap url me post se related keywords bhi add kare.
Dhyan rakhe post url post se related hi honi chahiye.

#10Post Content Length! 

Apko pta hoga content hi apke blog ka king hai agar content hi nahi hogi apke blog me to koi traffic bhi nahi hogi.
Iss time jyada competition ko wajah se sabhi blogger articles kam se kam 1000 words ka write ✏✍️ karte hai.isiliye agar aap chaahate hai ki apka bhi blog post rank kare to aap bhi content length par focus kare ye apke liye better hoga.but ye nahi ki article ko long bnane ke chakkar me aap topic se hi bahar ki bate write kar do iss bat par bhi focus kare. Nahi to apka post boring ho jayega. Jise koi visitor bhi like ❤ nahi karega.
Apko daily kam se kam eak article to jarur publish karni chahiye. Agar aap nahi karoge to socho apke jo comteter  hai vo to post publish kar hi rahe honge na to iss tarah hmesa vo apko pichhe chhod agea chalte rahenge.
Apko bhi competitions ko dhyan me rakhkar blogging karni chahiye.

Finally- 

I hope apko meri article pasand aayi hogi aur samajh bhi ayi hogi.aap puri mehnat se blogging kariye saflata apki kadam chumegi. 

8 Comments

👉 HERE YOU CAN ASK ANY QUERY or DOUGHT & FOR MODULE PAPER ,NOTES YOU CAN WHAT'S APP ME 👉 🔥7052915096🔥

Previous Post Next Post