Boigraphy of Dr APJ ABDUL KALAM
Is post me Dr Apj abdul kalam ke bare me bataya gaya hai unhone kaise apne aim ko pura kiya aur apne country ka nam rausan kiya.Dr APJ KALAM KE BARE ME
Tamilnadu ke madhyavargiy Family me kalam ka janm 15 october 1931 Ko hua tha.Jinka pura nam abdul pakir janulabdin abdul kalam tha.inake Father ka nam jainulabdin jo machhuaro ko kiraye par navo ko dete the.inko bachpan se hi paylat bnane ka Dream tha.apne is sapne ko sakar karne ke liye inhone akhbar tak Becha aur itani muskil me bhi apni padhai ko jari rakhi. Aur sanghars karte hue uchch siksha hasil kar Paylat ki exam me associate hue.us exam me pass hone ke bavjud bhi inka selection nahi ho saka kyoki us exam me keval eight paylato ka selection hona tha. Aur safal candidates ki list me unaka 9th palace tha. is ghatana se nirash hokar inhone har nahi mani aur dridh nischay ke bal par inhone esi success ko prapt kiya jinke samane paylato ki udane chhoti najar aati hai.His Education
unka vayktitva ek tapasvi aur Karmyogi ka raha.unhone sanghars karte hue prarambhik shiksha rameshwaram ke prathmic school se prapt karne ke bad ramnathpuram ke sawartj highschool se matriculation kiya.isake bad ye high education ke liye tiruchirapalli chale gaye.vahan ke sent josef college se B.Sc ki upadhi prapt ki.B.Sc karne ke bad 1950 me inhone madras institute of technology se aeronautical engineering me Diploma kiya.apne education pura karne ke bad dr kalam ne hovarkraft organisation aur vikas sansthan me praves kiya.isake bad 1962 me ve india ke antrichh anusandhan sanghtan me aaye,jhan unahone saflatapurvak kai upgrah prachhepan pariyojnao me apni mahatwapurn bhumika nibhai.Pariyojna nidesak ke rup me bharat ke pahale svadesi upgrah prachhepan yan SLV-3 ke nirman me bhi unhone mahatvapurn bhumika nibhai.Isi prachhepan yan se july,1980 me rohini upgrah ka antriksh me saflatapurn prachhepan kiya gaya.1982 me ve bhartiya raksha anisandhan evam vikas sanghtan me vapas nidesak ke taur par aaye tatha apna sara dhyan gaidede missile ke vikas par kendrit kiya.Agni missile evam prithvi missile ke safal parichhan ka shrey bhi inhi ko jata hai.Us mahan vyaktitva ne bharat ko anek missiles pradan kar isake samrik dristhi se itana sampann kar diya ki puri duniya inahe 'Missile Man' ke nam se janne lagi.
Success of Life
july,1922 Me ve bhartiy raksha mantralay me vaigyanik salahkar select hue.unaki dekhrekh me bharat ne 1998 me pokhran me dusara safal parmanu test kiya aur parmanu shakti sampann rastro ki list me samil hua.san 1963-64 ke dauran kalam ne America ke antriksh sanghtan NASA Ki bhi yatra ki.vaighyanik ke rup me karya karne ke dauran alag alag pranaliyo ko akkrit rup dena unaki quality thi.Dr Kalam ke uplabdhiyo ko dekhate hue bharat sarkar ne unahe 1981 me padambhusan aur 1990 me padam bibhusan se sammanit kiya.1997 me bharat ke sarvochh nagrik samman 'BHRAT RATN' se sammanit kiya gaya.
ek din esa bhi aya jab inako bharat ke sarvochh pad par 26 july 2002 ko gyarhve president ke rup me padbhar saupa gaya.inhone is pad ko 25 july 2007 tak susobhit kiye.ve parliament ko susobhit karne wale pahme insan hai.Is dauran inhone kai deso ka daura kiya aur apne vyakhyano dvara des ke naujvano ka margdarsan karne aur unahe prerit karne ka mahatvapurn karya kiya.ye kuran aur gita dono ka adhyan karte the.ye sudh sakahari the.kalam ne tamil bhasa me kavitaye bhi likhi.jiska anuvad pure world ki kai language me ho chuka hai.aur inhone kai pusatako kirachana ki jaise 'ignited minds','India my Dream','Wings of Fire'.Inhone bahut achhi sandesh diya stundents aur sabhi logo ko.
Kalams Voice
- 1-Chalo ham apna aaj kurban karte hai taki hmare bachcho ko behtar kal mile
- sapne sach ho isake liye sapne dekhna jaruri hai.
- Students ko hmesa question karte rahana chahiye kyoki prasn karna students ka sarvottam gun hai.
- First Impression is the Last Impression.
- Your Best Teacher is Your Last Mistake.
- You can not change your future.But you can change your habbit and surly Your habbit change your Future.
Finally:-
Kalam ne hamare Bharat ke liye bahut kuch kiya hmare ckuntry ko raksha ke mamle me aaye badhya.jisase hmare country par ab kisi bhi dusman country ka hmle ka dar nahi hai.Hame aur apko unaki achchaiyo se sikh leni chahiye.to dosto apko meri ye post kaisi lagi comment me jarur bataye aur post ko apne friends ke sath share jarur kare.
Tags:
Self Improvement